Monday 20 February 2012

love and shayari

 
Hame Bhoolne Ki Koshish Mat Karna
Ham Tere Dil Ka Dard Ban Jayege
Karoge Aakhri Saas Tak Yaad
Hum Tumhe Itna Bebas Kar Jayege …
`
Faasle Mita Kar Aapas Mein Pyar Rakhna,
Pyar Ka Rishta Yu Hi Barkaraar Rakhana,
Bichar Jae Kabhi Aap Se Hum,
To Ankho Mein Hamesha Hamara Intezaar Rakhna..
`
Aur Kuch Nahi Chahiye Ek Muskan Hi Kafi Hai,
Dil Main Bas Ek Tamanna Hi Kafi Hai,
Tamanna Hai Ye Ki Aap Sada Kush Raho ,
Hamen Yaad Rakhna Ye Ehsaan Hi Kafi Hai…
`
Hum Say Kabhi Zikr Judai Math Karna,
Ess Dil Ki Kabhi Ruswai Math Karna,
Tum Jan Ho Meri Bus Etna Samjh Lo,
Mery Enn Lafzoo Ko Nailaam Math Karna…
`
Tumhe Har Safar Ka Kinara Milega,
Chamakta Hua Har Sitara Milega,
Aayegi Chehre Par Pyari Si Muskan,
Sms Tumhe Jab Hamara Milega …


Hamne Apni Sanso Par Unka Naam Likh Liya
Nahi Jante The Ki Hamne Kuchh Galat Kiya
Wo Pyaar Ka Vada Hamse Karke Mukar Gaye
Khair Unki Bewafai Se Kuchh To Sabak Liya…..
 Bikhre aashkon ke moti bana na sake,
Teri yaad mein sari raat so na sake,
Bheeg na jaye aasoo mein tasvir teri,
Bas yehi soch kar hum ro na sake…
`
Hume suläne ki khätir jab raat aati hai,
Hum so nahi pate raat khud so jäti hai,
puchne par dil se ye aawaz aati hai,
aaj unhe yaad kar le raat to roj aati hai..
`
Meri aadat ko wo samajh nahi pate,
Hum bhi unse kuch kah nahi pate,
Ai khuda na jaane ye kaisa yar de diya tune,
Jise yaad kiya bina hum rah nahi pate…
`
Khata ban gaya hai kisi se pyaar karna
saza ban gaya hai kisi pe aitbaar karna
sochta hoon phir khwab sajaun per dil kehta
hai kya tujhe acha lagta hai intezaar karna..



Uski yaad mey hum barso rotey rahey
Bewafa wo nikle badnaam hum hote rahey
Mohabbat mey madhoshi ka aalam to dekhiye
Dhool chehre pr thi or hum aaina dhotey rhe…
Aaj teri yaad ko seene se laga kar roye,
Apne khuwabo me tujhe paas bula kar roye,
Haazaro baar pukara tujhe tanhaiyo me,
Aur har baar tuze paas na pa kar roye…
`
Mere Pyaar ki woh hadh puchte hai,
Dil mein kitni jagah hai yeh puchte hai,
Chahte hai hum unhi ko kyun itna,
Iski bhi woh wajah puchte hai…
`
Kitna bebas hai insaan kismat ke aage,
Kitne door hai sapne haqiqat ke aage,
Koi ruki hui Dhadkan se puche,
Kitna tadapta hai Dil Mohabbat ke aage…


 
Guzri hui Zindagi ko kabhi yaad naa kar,
Taqdir mein jo likha hai uski fariyaad naa kar,
Jo hona hai woh ho kar rahega,
Tu fikr mein apni hasi baraad naa kar…
`
Itna kuch khoya hume paana naa aaya,
Pyaar kiya to jatana naa aaya,
Dil mein bas gaye woh pehli hi nazar mein,
Kasur humara tha jo hume unke Dil mein samana naa aaya…
Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pa nahi sakte usi se mohabbat kyun hoti hai…
`
Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahin koi zakhm nahi phir bhi kyun yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aj bhi us ke paas hai…
`

 
Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya hua agar hum tume na paa sake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota…
`
Unki galiyoon se jab guzre to manzar ajeeb tha,
Dard tha magar wo dil ke kareeb tha,
Jise hum dhoondhte the apni hathoon ki lakeeroon mein…
Wo kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha..
`
khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote
jaise rutha mera sanam kisi aur ka na ruthe
rota hai dil aur toot jate hain sapne
ankhon ke aansoo bhi nahin hote hain apne…
 
Bahut tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai, jo aaj hai aankhon mein aansoo,
Saza mili hai humein muskurane ki !
`
Hum ne jab kiya dard-e-dil ko baya, to sher ban gaya,
Logo ne suna wah wah kiya, dard aur badh gaya.
Mohobbat ki paak rooh mere shero me hai,
Ek likha gam kam karne ke liye to gam aur badh gaya…
`
Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Ek Haqeeqat Nahin Kuch Aur Bhi Hai…
`
Pyar ne ye kaisa tohfa de diya
mujhko gumo ne pathar bana diya
teri yaadon main hi kat gayi ye umar
kehta raha tujhe kab ka bhula diya..
`
Dil ke chhalon ko koi shayari kahe, to dard nahi hota
Takleef to tab hoti hai, Jab log wah-wah karte hain
Apne hisse ki zindagi to hum kabke jee chuke,
Ab to sirf dhadkano ka lihaj karte hain,
Kya karen is duniya walon ka,
Jo aakhari dhadkano pe bhi aitaraz karte hain…
 kuchh beete hue lamho se mulakat hui
kuchh tute hue sapno se baat hui
yaad jo karne baithe un tamam yaado ko
to aapki hi yaado se shuruat hui…
`
Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai…
Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai’
Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..
Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai…
`
Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi…
Wafa kar lo chahe jitni Bewafai hi milegi…
Jitna marzi kisi ko apna bana lo,
Jab ankh khulegi… Tanhai hi milegi !
`
Dariya wafaoo ka kabi rukta nahi,
Mohabat me insaan kabhi jukta nahi,
Hum chup hai kisi ki khushi ke liye,
aur wo sochte hai dil hamara dukhta nahi.


 
Apno ne Zehar ka jaam de diya,
Gairon ne Bewafa naam de diya.
Wo jo kehte they bhul na jana hume,
Aaj unhone hi bhari MEHFIL me ANJAAN keh diya hain….
Kash khuda ne hume “aansoo” banaya hota…..
us bewafaa ki aankh me basaya hota…..
jab girte aankh se unki …….
to marne ka maza to aaya hota …
Kisiko apna banane me der lagti hai,
ek vada nibhane me der lagti hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,
magar unhe bhulane me umar lagti hai..

 
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
`
Unki julfo ke tale hum zamana bhula dete hain,
vo ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,
ishq to unko bhi hai humse ye jaanta hain hum,
phir bhi na kah kar kyoin vo iss dil ko saza dete hain
`
Muskan tere Hoton Se Kabhi Jaaye Na,
Aansun tere Palkon Pe Kabhi Aaye na,
Poora Ho tera Har Khwab,
Aur Jo Poora na Ho Woh Khwab Kabhi Aaye Na…
`
Na misaal milegi tere husn ki iss kaynaat main,
tu itni kasis bhari khoobsurti kahain se layi hai,
labo hain maykhane aur ankhain chalakte pamane,
aye khuda jaane aaj kis kis ki shamat aye hai.
 Qadam Qadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya,
Pada Jab Waqt To Apno Ne Sath Chod Diya.
Qasam Khaii Thi In Sitaron Ne, Sath Dene Ki ,
Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Sath Chod Diya..
`
Zindagi sirf mohabbat nahi,kuch aur bhi hay
zulf-o-rukhsar ki jannat nahi,kuch aur bhi hay
bhool-o-aflas ki is maari hui dunya main
ishq hi ek haqiqat nahi,kuch aur bhi hay …
`
Who aate to hain magar tan se nahi,
who bhethe to hain magar man se nahi,
kaun kehta hai ki who pyaar nahi karte,
karte to hain magar humse nahi.
`
Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi.
`


 
Teri Dosti ne diya “SAKOON” itna,
Ke tere baad koi “ACHA” na lagey,
Tujhe karni hai “BEWAFAI” to is ada se kar,
Ke tere baad koi “BEWAFA” na lagey.
`
Jo dil se karib ho use rusva nahi karte,
Yun apni mohabbat ka tamasha nahi karte,
Khamosh rahenge to ghutan aur badhengi,
apno se koi baat chupaya nahi karte…
1. Dard se khelna sikh gaye,
hum bewafayi ko jhelna sikh gaye
ham kya bataye hame zindagi ne
Kis kadar saqth bana diya,
k maut se pehle kafan odna b sikh gaye!
2. Legayi sb kuch magar bus kafan rehne dia,
Yuhi meri zindgi ka akri rehnuma rehne dia,
Hum gaye they unko loutane k liye.
Wo kha k raham rehne diya………
 
3. Dhoka tum na dho ab yakeen hame nahi,
bewafi tho dekchuke ab wafa ka barosa nahi,
dosti samj b sako wo akal tumme nahi,
kr k mohabbt saza tum saho utna sabar tum me nahi,
hamari myyath pr tum Aao ye yakeen ab kisi ko nahi.
4. Meri mohabbat hai wo koyi mamuli ladki nahi,
Koyi use chede ye muje bardash nahi,
Cheer dhenge hum use agar
Wo kehdhe kisi ka naam ek bar,
Ye ek AshiQ ka wada hai koyi jhooti kasam nahi.
5. Kafan me lapti meri laash hai,
naye gar se bus chalis kadam dur hai,
intezar tho bus unka hai,
sun k kabr meri jo behosh hai,
un k ansu muje wazan hone lage,
kandha dene wale b ab thakne lage,
utaya jo meri dole ko tho uta na sake,

 
dek k log sabi pareshan ho chuke,
sirf unki ek muskuraht ki zarurath thi,
alvidha sun le hum bus ye ek aakri hasrath thi.
6. “Apki Ankho Me Ansuo Ki Jagah Na Ho.
Mere Pass apko Bhulane Ki Vajah Na Ho.
Agar Bhul Jaun Kisi Tarah Se apko.
To Khuda Kare Meri Zindgi Me Agli Subah Na ho.
7. Khuda ki mahobbat fanah kaun karega..
Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega.
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna..
Warna hamari Qabar pr chadar kaun chadayega…
 
Duwa karna yaro juda ho rahe hai,
Rahi zindagi to fir aaker milenge..
Ager mergaye to duwa karte rehna,
 
Aansun bahane ki koshish na karna..
A duniya badi bewafa hai samajhna,
Kahin dil lagane ki koshish na karna.
 
Mere doston zindagi ek safer hai samajhna,
Kahin thaher jane ki koshish na karna.
Danishon ki duniya hai sari,
 
Alfazon ka mydan hai sara.
Zer aur zaber ko pehechan na pao,
To mydan me aane ki koshish na karna.

Kashti ummidon ki ger sahil na paye,
To khud dub jane ki koshish na karna.
Kadam pe andhera karegi ye duniya,
Kahin dil jalane ki koshish na karma.

 
Kabhi ro ke muskuraye , kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,
ek tera hi to naam tha jise hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue us se jayada mita ke roye.
Akela sa mehsus karo jab tanhai me,
Yaad meri aye jab judai me,
Mehsus karna tumhare karib hu me,
Jab chahe dekh lena apni hi parchai me.
Kadam yuhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us pathar se,
Jise hum apna mante the.
Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko,
Tho yun humein ruswa na kiya hotha.
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein,
Bas ek baar humein samaj-liya hotha?
Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye
 
Mere khwabon mein aana aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara kasur tha
Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha


Kabhi khushi se khushi ki taraf nahi drkha
wo mera hai par usne meri taraf nahi dekha
Zindagi se mila to hoon magar kuch is tarah
Mane uski usne meri taraf nahi dekha
Usko dekha tha ik baar badi sanjeedgi se
Us se behtar koi doosra nahi dekha
Wo mera ishq hai yaa ibaadat hai meri
Us se jyaada to khuda ki taraf nahi dekha…

 
“PATHAR KI YEH DUNIYA JAZBAT NAHI SAMAJHTI
DIL ME HAI JO WOH BAT NAHI SAMAJHTI
TANHA TOH CHAND BHI HAI SITARON KE BEECH
MAGAR CHAND KA DARD BEWAFA RAAT NAHI SAMAJHTI ”



Geele kagaz ki tarah hai zindagi humari
koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi
is kadar akele ho gaye hai hum aajkal
koi satata bhi nahi koi manata bhi nahi.


Zikr jab bhi aap Apno ka kiya karen…
Naam hamara bhi unme liya karen..
Tareef nahi to burayi hi sahi


par apne Alfazon mein jagah
hamein bhi diya karen


 



KAGAZ PE HUMNE ZINDAGI LIKH DI,
AANSUON SE SEENCH KAR HAR KHUSHI LIKH DI,
DARD KO JAB HUMNE UBHARA LAFZO PE,
LOGO NE KAHA WAH KYA GAZAL LIKH DI.
Aaj bahut yaad aa rahe ho tum..
Aankhen band hain phir bhi nazar aa rahe ho tum..
Na jaane kyun aisa lagta hai k saamne khade hokar…
Mujhe ab tak rula rahe ho tum.
Woh mil jaate hain humein ek kahani bankar..
Dil mein bas jaate hain ek nishaani bankar..
Jinhen hum rakhte hain apni aankhon mein…
Kyun nikal jaate hain in aankhon se woh pani bankar
pal beet jaega waqt gujar jayega
bus yaadon bhara ye safar reh jayega
na woh log honge na unkibaatein
yaad kerne ko buswoh lamha reh jayega
sometimes my eyes get jealous of my heart
know why?
guess wht it is
simply bcoz a sweet person like you,
is always close to my heart and far from my eyes

 
sometimes my eyes get jealous of my heart
know why?
guess wht it is
simply bcoz a sweet person like you,
is always close to my heart and far from my eyes
koi hasae to has lete hai
dil me dard ho to ro lete hai
nind waise bhi kam aati hai
par sapno me tum aaoge
yeh soch ke so lete hai
raat hogi to chand dikhai dega
khwabon me tumhe woh chehrea dikhai dega
mohabbat kabhi zara soch ke kerna
ek aansu bhi girega toh woh bhi sunai dega
dhoka diya tha jab tumne muijhe
dil se me naraz thi
phir socha ki dil se tumhe nikal du
magar woh dil bhi tumhare pass tha
dil ka zakhm zuban pe laya nahin kerte
hum apniaankhon se aanso bahaya nahin kerte
zakhm kitne gehre kyon na ho
hum apne hoton se muskurahat hataya nahin kerte …
 
Nazar to mila sake,
Per zaban ko hila na sake,
Laakh chaha humne,
Phir bhi tum ko bhula na sake….
Is dil say teri yaad bhulai nahin jati
Yeh pyar ki daulat hai lutai nahin jati
Is dil say kesay tumhain bhulaoun main
Har roz toh yeh duniya basai nahin jati
 www.hindisms786.blogspot.com

No comments:

Post a Comment