Friday 17 February 2012

love and shayari


Kuch rishte anjane mein ho jate hai,
pehle dil phir zindagi se jud jate hain,
kehte hai uss daur ko dosti,
jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai…



Dosti ko pyar kahun kese….
Yaa kese kahun pyar ko dosti….
Wo naa dosti karte he humse…
Naa hume dushmani karne dete he….


Pyaar kya tha yeh nahi pata,
Pyaar kya hai yeh bhi nahi pata,
Bus itna jante hai ki woh humse door hai,
Magar phir bhi unka naam humare jine ka shara hai…



Dil ki aawaz ko izhaar kehte hai,
jhuki nigah ko ikrar kehte hai,
sirf paane ka naam ishq nahi,
kuch khone ko bhi pyar kehte hai…



 Ye Promise Hai Humara,
Na Chhodenge Kabhi Saath Tumhara.
Jo Gaye Tum Hume Bhool Kar,
Le Aayenge Pakad Kar Haath Tumhara.


Kuch rishte iss jahan mein khas hote hai,
Hawa ke rukh se jinke ehsaas hote hai,
Yeh dil ki kashish nahi toh aur kya hai,
Door reh kar bhi woh dil ke kitne paas hote hai…




Tumhi to manzil humari
Ankhon basi hai khwab tumhari
Zinda hai hum tere pyaar ke sahare
Tunhi to ho kismat humari…
`
Ish nacheez dil ki gustakhee to dekho
Chala hain chand se ishq ka izhaar karne
Jiski roshni se roshan hai puri duniya
Usi ko chala hai pyaar ka roshni dene…
`
Phool aap ke liye Kante Hamare liye
Sarak aap ke liye Gadde hamare liye
Shahad aap ke liye Karela hamre liye
Hum aap ke liye Aap humare liye..







 Log kehte hai tum kyun apne pyar ka izhar nahi karte.
Humne kaha jo labzo me bayan ho jaye…
sirf utna ham kisi se pyar nahi karte…
`
Mohabbat shoq se hoti hai, iraadon se nahin.
Dosti insaan se hoti hai, pattaron se nahin.
Agar gila ho koi dil may to mita dena,
Giley apno se kiye jaatey hain, ghairon se nahin…
`
Jab do Dilo ki mulakat hoti hai
To Pyar ki Shuruat hoti hai
Lekin jab shaadi hoti hai
To Sachhe pyar ki pahchan hoti hai…







Pyar me aksar aisa hi hai
Jo kehte hai nahi bhulenge aapko
khud hi bhul jate hai…
Dusro ko pyar-wafa-dard samjate samjate
khud aapne pyar ko hi bhul jate hai…


Nahi tha Zor Uski Sitam nawaziyo ka magar,
Mujhe bhi Hosle Mere Khuda se mile,
Meri Anna kyu kehti hai baar-baar Mujhe,
Woh Mohabat hi kya jo iltija se mile…
`
Meri mohabat hai wo koi majboori to nahi
wo mujhe chahe ya mil jaye zaruri to nahi
ye kuch kam hai ke basa hai meri sanso me
wo samne ho meri ankho ke zaruri to nahi…
`
Nikla tha gher se khudkushi ka irada karke
jab unhe maloom hua to daud kar aye
jo ate na the kabhi wade mutabik
vo sub rasme sub kasme tod kar aye…




Dil se dil milna chahte hai,
dil hi dil me phool khilna chahte hai,
har khushboo bhi jese kam padegi,
kuch is tarah tumse hum milna chahte hai..
`
Jaha dekhu samne nazaar ati ho tum
Pyaar ki parichayiyo se hamesha yaad ati ho tum…….
Mere Khwaboo ki duniya me rehti ho tum
Mere pass ake muskurati ho tum……..
Mohabatt ki in raho me ake tadapati ho tum
Pyaar hume de kar dur cheli jati ho tum………
`
Ishq to kehte hai rab ki ibadat hai
kyu bhala izhaar se darte hai log
halaat ko kabu karne ko kehte hai
jab ki kisi ka nahi hai is dil pe zor…






Hamara har lamha chura liya aapne,
aankhon ko ik Sapna dikha diya aapne.
Hame zindgi to di khuda ne,
par Pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne….
`
Mujhe jab bhi tumhari yaad aati hai.
Mere honto par ek hi fariyad aati hai.
Khuda tumko jindgi me har khushi de.
Kyonki hamari khushi to aapki Khushi k baad aati hai…
`
khuda k baad tera naam liya maine,
kya pata tujhe kitna yaad kiya maine,
kash sun sakte tum dhadkene meri…
har saans ko tere naam se jiya maine…



Har pal ne kaha ek pal se,
Pal bhar k liye aap mere samne aa jao…
Pal bhar ka sath kuch aisa ho…
ki har Pal tum hi yaad aao…


 Bahut mushkil se kal ki raat guzri hai,
Kuch tanha par kuch khaas guzri hai,
Na neend aai na khawaab koi,
Bas aap k khayalon k saath guzri hai.
`
Mohabbat ki shamma jala kar to dekho,
Zara Dil ki dunia saja kar to dekho,
Tumhe ho na jaaye Mohabbat to kehna…..
Zara humse nazaren mila kar to dekho.
`
Karoge yaad ek din is pyar k Diwane ko,
chale jaenge jab hum kabhi na wapas aane ko,
karega mehfil me jab jikr humara koi …..
to tum bhi tanhai dundogi aansu bahane ko.
`
Duaaon ki bheed me ek dua hamaari,
Jis me maangi hamane har khushi tumhari,
Jab bhi muskuraye aap Dil se…..
Samazo dua kubul hui hamari…..!
`
Ek ada aapki Dil churane ki,
Ek ada aapki Dil me bus jane ki,
Chehra apka chand sa…..
aur ek zid hamari chand pane ki…
`
Na kabhi muskurahat tere hothon se duur ho..
Teri har khwahish khuda ko manzoor ho..
Ho jaye jo tu mujhse khafa..
Khuda na kare mujhse kabhi aisa kasoor ho…



Tum hansti ho mujhe hasane k liye,
Tum roti ho mujhe rulane k liye,
Tum ek bar ruuthkar to dekho…..
Mar bhi Jaunga tumhein manane k liye…
`
Yaad karte hain tumhein tanhayi mein,
Dil duuba hai gamo ki gehrayi mein,
humein mat dhundna dunia ki bheer mein,
hum Milenge tumhein tumhari parchayi mein.
`
Ye Dil tere liye beqarar aaj bhi hai,
Meri aankh ko tera intizar aaj bhi hai,
Tu aayegi ye umeed hai mujhe…..
Tujh ko pane k liye ye tera deewana aaj bhi hai.
`
Ishq karna asaan nahin hota,
Duriyan badne se pyar kam nahi hota,
Waqt bewaqt ho jati hain aankhein nam,
Kyun ki yaadon ka koi mausam nahin hota.
`
Phuulo ki tarah hansti raho,
Kaliyoun ki tarah muskurati raho,
Khuda se sirf itna mangta hoon…..
ki tum mujhe hamesha yaad aati raho

 Dunia jise neend kehti hai,
jane wo kya cheez hai,
Aankhe to hum bhi band karte hai….
par wo aap se milne ki tarkeeb hai…
`
Mere chehare ki hansi ho tum,
Mere Dil ki har khushi ho tum,
Mere hontho ki mushkan ho tum,
Dhadakta hai mera ye Dil jiske liye…..
wo Meri Jaan tum ho tum.
`
Koi sham aati hai tumhari yaad lekar,
Koi sham jati hai tumari yaad dekar,
Mujhe to us sham ka intezar hai,,,,,
jo aaye tumhe saath lekar…







 Mohabbat mujhe thi usi se..Sanam.
Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha ..
Maut bhi meri Chahat ko rok na saki..
Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha.
`
Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi achcha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…
`
Bina dard ke ansu bahaye nahi jate,
Bina pyar ke rishte nibhaye nahi jate,
E dost 1 baat yaad rakhna bina DIL diye
DIL paye bhi nahi jate…
`
Badi Muddat se chaha hai tujhe,
bade Duaon se paya hai tujhe,
tujhe bhulane ki socho bhi to kaise,
Kismat ki Lakiron se churaya hai tujhe!
`
Ek nazar teri kaher dhati hai,
ek teri chal lehrati hai,
dua dete hain hum jab tu aati jati hai,
girten hain log aur tu hasti jati hai…
`
Dur hokar bhi mere karib ho,
mere DilSe pucho kitne aziz ho,
apni hatheli ko kabhi gaurse dekho,
shayad kisi lakir me mera bhi nasib ho…




No comments:

Post a Comment